24 May, 2017

Wordprees Par Free Blog Kaise Bnaye~Full Guied In Hindi

By:   Last Updated: in: ,

WordPress par blog banana bhi blogspot par blog banane jaisa hi hai. Bas fark sirf itna hai ki blogspot free hai but wordpress paid hai or is par blog banane ke liye aapko kisi hosting site se hosting leni padegi. Aaj is post me mai aapko wordpress par blog banane ke bare me kuch important bate bta raha hu. jisse aap aasani se wordpress blog bana sakte ho.


Wordprees Par Free Blog Kaise Bnaye~Full Guied In Hindi

WordPress BlogSpot Se Kyu Behtar Hai?

WordPress or blogSpot dono blogger platform hai. WordPress par unlimited feature hote hai. WordPress blog par humara pura control rahta hai. Jabki blogSpot blog par humara pura control nahi hota or isme feature bhi limit hote hai. Yani blogspot ko loha mane to wordpress ko sona manna galat nahi hoga. WordPress blog banane se pahle ek bar ye post or pad le BlogSpot Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai

WordPress Blog Ke Liye Hosting Kaha Se Kharide?

Hosting humare phone ke memory card ki tarah hai. Jis tarah memory card me humare songs, videos, movies, photos data save rahti hai bilkul wese hi hosting par humare blog ki sabhi data save rahti hai. Maine digital ocean ki free hosting ke bare me pahle se btaya hai, aap chahe to is post ki help se free hosting le sakte hai.
Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se or agar aap paid hosting lena chahe to mai aapko suggest karunga ki aap hostgator ya bluehost se hosting kharide.


WordPress Par Free Blog Kaise Banate Hai?

WordPress par blog banane ke liye aapko hosting leni padegi. Wese to aap WordPress.com par free blog bhi bana sakte ho but usme aap theme change nahi kar sakte or kei or important customizing kar sakte.
Agar aap WordPress par new hai to mai aapse kahunga ki aap ek bar kisi free hosting dene wali site se hosting le kar wordpress ko pahle samajh le uske bad kisi achi hosting site se hosting le kar blog banaye.
Yaha mai aapko wordpress.com par free blog banane ke bare me bta raha hu. agar aap paise kamane ke liye blog banana chahate hai to hosting le kar hi blog banaye.
Step 1:
Sabse pahle WordPress.com website par jaye or create blog par click kare.

Wordprees Par Free Blog Kaise Bnaye~Full Guied In Hindi

Create blog par click karte hi aapki koi theme choose karne ke liye kaha jayega aap apni pasand se koi bhi theme select kare.
Wordprees Par Free Blog Kaise Bnaye~Full Guied In Hindi

Step 2:
Ab aapko blog ka koi bhi domain chunna hai free domain ke liye domain me WordPress lagaye jaise example.WordPress.com
Image me bataye anusar free domain ke samne select par click kare..
Wordprees Par Free Blog Kaise Bnaye~Full Guied In Hindi


Step 3:
Ab select Free plan par click kare.

Wordprees Par Free Blog Kaise Bnaye~Full Guied In Hindi
Step 4:
  1. Apna email address fill kare jisse aap WordPress blog banana chahate hai.
  2. Username select kare.
  3. Strong password banaye.
  4. Create account par click kare.

Wordprees Par Free Blog Kaise Bnaye~Full Guied In Hindi
Bas ab aapka WordPress par blog ban gaya hai. Ab aapse email verify ke liye kaha jayega email inbox me jakar WordPress massagwe me link par click kar ke verify kar sakte hai.
Ab customize your website par click kare or aap WordPress blog ke dashboard par pahunch jaoge agar aapko WordPress ke bare me koi sawal puchna hai comment me bataye.



I hope aapko ye article achha laga hoga agar laga hai to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi WordPress par free blog bana sake.
पर Free Blog कैसे बनाये 

No comments:
Write comment

Add Your Comments, and Your Thought